Hamd-O-Naat

Uski shaan ke kya kahne usi se har shay basi hai
raat din subah-o-shaam ki ladi usne banayi hai

apne bandon par har waqt meherbaan Allah rahta hai
darakhton ka saya bhi uski nigehbani me rahta hai

Achhayi ke badle usne hamesha achhayi hi rakhi hai
uski shaan ke kya kahne usi se har shay basi hai

har shakhs uske karam se uski meher se mahfooz hai
Allah har shakhs ko uske mutabik deta toufeeq zaroor hai

Sachhayi ke badhne se ibadat hamesha hi badhi hai
Uski shaan ke kya kahne usi se har shay basi hai

No comments:

Post a Comment